Pas Raho
tum mere pas raho
mere qatil, mere dildar mere pas raho
jis ghaDi raat chale,
aasmanon ka lahu pi ke siyah raat chale
marham-e-mushk liye, nashtar-e-almas liye
bain karti hui hansti hui gati nikle
dard ke kasni pazeb bajati nikle
jis ghaDi sinon mein Dube hue dil
aastinon mein nihan hathon ki rah takne lage
aas liye
aur bachchon ke bilakne ki tarah qulaul-e-mai
bahr-e-na-sudgi machle to manae na mane
jab koi baat banae na bane
jab na koi baat chale
jab ghaDi raat chale
jis ghaDi matami sunsan siyah raat chale
pas raho
mere qatil, mere dildar mere pas raho
(2269) Peoples Rate This