Paris
din Dhala kucha o bazar mein saf-basta huin
zard-ru raushaniyan
un mein har ek ke kashkol se barsen rim-jhim
is bhare shahr ki nasudgiyan
dur pas-manzar-e-aflak mein dhundlane lage
azmat-e-rafta ke nishan
pesh-e-manzar mein
kisi saya-e-diwar se lipTa hua saya koi
dusre sae ki mauhum si ummid liye
roz-marra ki tarah
zer-e-lab
sharh-e-bedardi-e-ayyam ki tamhid liye
aur koi ajnabi
in raushniyon sayon se katraata hua
apne be-KHwab shabistan ki taraf jata hua
(1989) Peoples Rate This