Panw Se Lahu Ko Dho Dalo
hum kya karte kis rah chalte
har rah mein kanTe bikhre the
in rishton ke jo chhuT gae
in sadiyon ke yaranon ke
jo ek ek kar ke TuT gae
jis rah chale jis samt gae
yun panw lahuluhan hue
sab dekhne wale kahte the
ye kaisi rit rachai hai
ye mehndi kyun lagai hai
wo kahte the kyun qaht-e-wafa
ka nahaq charcha karte ho
panw se lahu ko dho Dalo!
ye rahen jab aT jaengi
sau raste in se phuTenge
tum dil ko sambhaalo jis mein abhi
sau tarah ke nashtar TuTenge
(1972) Peoples Rate This