Nazm
tah-ba-tah dil ki kudurat
meri aankhon mein umanD aai to kuchh chaara na tha
chaara-gar ki man li
aur main ne gard-alud aankhon ko lahu se dho liya
main ne gard-alud aankhon ko lahu se dho liya
aur ab har shakl-o-surat
aalam-e-maujud ki har ek shai
meri aankhon ke lahu se is tarah ham-rang hai
KHurshid ka kundan lahu
mahtab ki chandi lahu
subhon ka hansna bhi lahu
raaton ka rona bhi lahu
har shajar minar-e-KHun har phul KHun-dida hai
har nazar ek tar-e-KHun har aks KHun-baalida hai
mauj-e-KHun jab tak rawan rahti hai us ka surKH rang
jazba-e-shauq-e-shahadat dard, ghaiz o gham ka rang
aur tham jae to kajla kar
faqat nafrat ka shab maut ka
har ek rang ke matam ka rang
chaara-gar aisa na hone de
kahin se la koi sailab-e-ashk
aab-e-wazu
jis mein dhul jaen to shayad dhul sake
meri aankhon meri gard-alud aankhon ka lahu
(1910) Peoples Rate This