Nauha
mujh ko shikwa hai mere bhai ki tum jate hue
le gae sath meri umr-e-guzishta ki kitab
is mein to meri bahut qimti taswiren thin
is mein bachpan tha mera aur mera ahd-e-shabab
is ke badle mujhe tum de gae jate jate
apne gham ka ye damakta hua KHun-rang gulab
kya karun bhai ye eazaz mein kyun-kar pahnun
mujh se le lo meri sab chaak qamison ka hisab
aaKHiri bar hai lo man lo ek ye bhi sawal
aaj tak tum se main lauTa nahin mayus-e-jawab
aa ke le jao tum apna ye damakta hua phul
mujh ko lauTa do meri umr-e-guzishta ki kitab
(1898) Peoples Rate This