Mulaqat
ye raat us dard ka shajar hai
jo mujh se tujh se azim-tar hai
azim-tar hai ki is ki shaKHon
mein lakh mishal-ba-kaf sitaron
ke karwan ghar ke kho gae hain
hazar mahtab is ke sae
mein apna sab nur ro gae hain
ye raat us dard ka shajar hai
jo mujh se tujh se azim-tar hai
magar isi raat ke shajar se
ye chand lamhon ke zard patte
gire hain aur tere gesuon mein
ulajh ke gulnar ho gae hain
isi ki shabnam se KHamushi ke
ye chand qatre teri jabin par
baras ke hire piro gae hain
2
bahut siyah hai ye raat lekin
isi siyahi mein runuma hai
wo nahr-e-KHun jo meri sada hai
isi ke sae mein nur gar hai
wo mauj-e-zar jo teri nazar hai
wo gham jo is waqt teri banhon
ke gulsitan mein sulag raha hai
wo gham jo is raat ka samar hai
kuchh aur tap jae apni aahon
ki aanch mein to yahi sharar hai
har ek siyah shaKH ki kaman se
jigar mein TuTe hain tir jitne
jigar se noche hain aur har ek
ka hum ne tesha bana liya hai
3
alam-nasibon jigar-figaron
ki subh aflak par nahin hai
jahan pe hum tum khaDe hain donon
sahar ka raushan ufuq yahin hai
yahin pe gham ke sharar khil kar
shafaq ka gulzar ban gae hain
yahin pe qatil dukhon ke teshe
qatar andar qatar kirnon
ke aatishin haar ban gae hain
ye gham jo is raat ne diya hai
ye gham sahar ka yaqin bana hai
yaqin jo gham se karim-tar hai
sahar jo shab se azim-tar hai
(3230) Peoples Rate This