Mujhse Pahli Si Mohabbat Meri Mahbub Na Mang
mujh se pahli si mohabbat meri mahbub na mang
main ne samjha tha ki tu hai to daraKHshan hai hayat
tera gham hai to gham-e-dahr ka jhagDa kya hai
teri surat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat
teri aankhon ke siwa duniya mein rakkha kya hai
tu jo mil jae to taqdir nigun ho jae
yun na tha main ne faqat chaha tha yun ho jae
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
rahaten aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa
an-ginat sadiyon ke tarik bahimana tilism
resham o atlas o kamKHab mein bunwae hue
ja-ba-ja bikte hue kucha-o-bazar mein jism
KHak mein luThDe hue KHun mein nahlae hue
jism nikle hue amraaz ke tannuron se
pip bahti hui galte hue nasuron se
lauT jati hai udhar ko bhi nazar kya kije
ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
rahaten aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa
mujh se pahli si mohabbat meri mahbub na mang
(3970) Peoples Rate This