Meri Jaan Ab Bhi Apna Husn Wapas Pher De Mujhko
meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujh ko
abhi tak dil mein tere ishq ki qindil raushan hai
tere jalwon se bazm-e-zindagi jannat-ba-daman hai
meri ruh ab bhi tanhai mein tujh ko yaad karti hai
har ek tar-e-nafas mein aarzu bedar hai ab bhi
har ek be-rang saat muntazir hai teri aamad ki
nigahen bichh rahi hain rasta zar-kar hai ab bhi
magar jaan-e-hazin sadme sahegi aaKHirash kab tak
teri be-mehriyon par jaan degi aaKHirash kab tak
teri aawaz mein soi hui shiriniyan aaKHir
mere dil ki fasurda KHalwaton mein ja na paengi
ye ashkon ki farawani se dhundlai hui aankhen
teri ranaiyon ki tamkanat ko bhul jaengi
pukarenge tujhe to lab koi lazzat na paenge
gulu mein teri ulfat ke tarane sukh jaenge
mabaada yaad-ha-e-ahd-e-mazi mahw ho jaen
ye parina fasane mauj-ha-e-gham mein kho jaen
mere dil ki tahon se teri surat dhul ke bah jae
harim-e-ishq ki sham-e-daraKHshan bujh ke rah jae
mabaada ajnabi duniya ki zulmat gher le tujh ko
meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujh ko
(2208) Peoples Rate This