Mere Hamdam Mere Dost!
gar mujhe is ka yaqin ho mere hamdam mere dost
gar mujhe is ka yaqin ho ki tere dil ki thakan
teri aankhon ki udasi tere sine ki jalan
meri dil-jui mere pyar se miT jaegi
gar mera harf-e-tasalli wo dawa ho jis se
ji uThe phir tera ujDa hua be-nur dimagh
teri peshani se Dhal jaen ye tazlil ke dagh
teri bimar jawani ko shifa ho jae
gar mujhe is ka yaqin ho mere hamdam mare dost
roz o shab sham o sahar main tujhe bahlata rahun
main tujhe git sunata rahun halke shirin
aabshaaron ke bahaaron ke chaman-zaron ke git
aamad-e-subh ke, mahtab ke, sayyaron ke git
tujh se main husn-o-mohabbat ki hikayat kahun
kaise maghrur hasinaon ke barfab se jism
garm hathon ki hararat mein pighal jate hain
kaise ek chehre ke Thahre hue manus nuqush
dekhte dekhte yak-laKHt badal jate hain
kis tarah aariz-e-mahbub ka shaffaf bilor
yak-ba-yak baada-e-ahmar se dahak jata hai
kaise gulchin ke liye jhukti hai KHud shaKH-e-gulab
kis tarah raat ka aiwan mahak jata hai
yunhi gata rahun gata rahun teri KHatir
git bunta rahun baiTha rahun teri KHatir
par mere git tere dukh ka mudawa hi nahin
naghma jarrah nahin munis-o-gham KHwar sahi
git nashtar to nahin marham-e-azar sahi
tere aazar ka chaara nahin nashtar ke siwa
aur ye saffak masiha mere qabze mein nahin
is jahan ke kisi zi-ruh ke qabze mein nahin
han magar tere siwa tere siwa tere siwa
(3943) Peoples Rate This