Mauzu-e-suKHan
gul hui jati hai afsurda sulagti hui sham
Dhul ke niklegi abhi chashma-e-mahtab se raat
aur mushtaq nigahon ki suni jaegi
aur un hathon se mas honge ye tarse hue hat
un ka aanchal hai ki ruKHsar ki pairahan hai
kuchh to hai jis se hui jati hai chilman rangin
jaane us zulf ki mauhum ghani chhanw mein
TimTimata hai wo aaweza abhi tak ki nahin
aaj phir husn-e-dil-ara ki wahi dhaj hogi
wahi KHwabida si aankhen wahi kajal ki lakir
rang-e-rukHsar pe halka sa wo ghaze ka ghubar
sandali hath pe dhundli si hina ki tahrir
apne afkar ki ashaar ki duniya hai yahi
jaan-e-mazmun hai yahi shahid-e-mani hai yahi
aaj tak surKH o siyah sadiyon ke sae ke tale
aadam o hawwa ki aulad pe kya guzri hai?
maut aur zist ki rozana saf-arai mein
hum pe kya guzregi ajdad pe kya guzri hai?
in damakte hue shahron ki farawan maKHluq
kyun faqat marne ki hasrat mein jiya karti hai
ye hasin khet phaTa paDta hai jauban jin ka!
kis liye in mein faqat bhuk uga karti hai
ye har ek samt pur-asrar kaDi diwaren
jal-bujhe jin mein hazaron ki jawani ke charagh
ye har ek gam pe un KHwabon ki maqtal-gahen
jin ke partaw se charaghan hain hazaron ke dimagh
ye bhi hain aise kai aur bhi mazmun honge
lekin us shoKH ke aahista se khulte hue honT
hae us jism ke kambaKHt dil-awez KHutut
aap hi kahiye kahin aise bhi afsun honge
apna mauzu-e-suKHan un ke siwa aur nahin
taba-e-shaer ka watan un ke siwa aur nahin
(3975) Peoples Rate This