Manzar
rah-guzar, sae, shajar, manzil-o-dar, halqa-e-baam
baam par sina-e-mahtab khula, aahista
jis tarah khole koi band-e-qaba, aahista
halqa-e-baam tale, sayon ka Thahra hua nil
nil ki jhil
jhil mein chupke se taira, kisi patte ka habab
ek pal taira, chala, phuT gaya, aahista
bahut aahista, bahut halka, KHunuk-rang sharab
mere shishe mein Dhala, aahista
shisha-o-jam, surahi, tere hathon ke gulab
jis tarah dur kisi KHwab ka naqsh
aap hi aap bana aur miTa aahista
dil ne dohraya koi harf-e-wafa, aahista
tum ne kaha, aahista
chand ne jhuk ke kaha
aur zara aahista
(2411) Peoples Rate This