Lenin-grad Ka Goristan
sard silon par
zard silon par
taza garm lahu ki surat
guldaston ke chhinTe hain
katbe sab be-nam hain lekin
har ek phul pe nam likha hai
ghafil sone wale ka
yaad mein rone wale ka
apne farz se farigh ho kar
apne lahu ki tan ke chadar
sare beTe KHwab mein hain
apne ghamon ka haar piro kar
amman akeli jag rahi hai
(1962) Peoples Rate This