Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_749f3cdd4feb55d0e2977dd970762bea, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lauh-o-qalam - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Lauh-o-qalam

hum parwarish-e-lauh-o-qalam karte rahenge

jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge

asbab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge

virani-e-dauran pe karam karte rahenge

han talKHi-e-ayyam abhi aur baDhegi

han ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge

manzur ye talKHi ye sitam hum ko gawara

dam hai to mudawa-e-alam karte rahenge

mai-KHana salamat hai to hum surKHi-mai se

tazin-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge

baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida

rang-e-lab-o-ruKHsar-e-sanam karte rahenge

ek tarz-e-taghaful hai so wo un ko mubarak

ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge

(2180) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lauh-o-qalam In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Lauh-o-qalam is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Lauh-o-qalam for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Lauh-o-qalam in PDF.