Kya Karen
meri teri nigah mein
jo lakh intizar hain
jo mere tere tan-badan mein
lakh dil-figar hain
jo meri teri ungliyon ki be-hisi se
sab qalam nazar hain
jo mere tere shahr ki
har ek gali mein
mere tere naqsh-e-pa ke be-nishan mazar hain
jo meri teri raat ke
sitare zaKHm zaKHm hain
jo meri teri subh ke
gulab chaak chaak hain
ye zaKHm sare be-dawa
ye chaak sare be-rafu
kisi pe rakh chand ki
kisi pe os ka lahu
ye hai bhi ya nahin, bata
ye hai, ki mahz jal hai
mere tumhaare ankabut-e-wahm ka buna hua
jo hai to is ka kya karen
nahin hai to bhi kya karen
bata, bata,
bata, bata
(3287) Peoples Rate This