Kutte
ye galiyon ke aawara be-kar kutte
ki baKHsha gaya jin ko zauq-e-gadai
zamane ki phaTkar sarmaya in ka
jahan bhar ki dhutkar in ki kamai
na aaram shab ko na rahat sawere
ghalazat mein ghar naliyon mein basere
jo bigDen to ek dusre ko laDa do
zara ek roTi ka TukDa dikha do
ye har ek ki Thokaren khane wale
ye faqon se ukta ke mar jaane wale
ye mazlum maKHluq gar sar uThae
to insan sab sar-kashi bhul jae
ye chahen to duniya ko apna bana len
ye aaqaon ki haDDiyan tak chaba len
koi in ko ehsas-e-zillat dila de
koi in ki soi hui dum hila de
(4740) Peoples Rate This