Koi Aashiq Kisi Mahbuba Se!
yaad ki rahguzar jis pe isi surat se
muddaten bit gai hain tumhein chalte chalte
KHatm ho jae jo do chaar qadam aur chalo
moD paDta hai jahan dasht-e-faramoshi ka
jis se aage na koi main hun na koi tum ho
sans thame hain nigahen ki na jaane kis dam
tum palaT aao guzar jao ya muD kar dekho
garche waqif hain nigahen ki ye sab dhoka hai
gar kahin tum se ham-aghosh hui phir se nazar
phuT niklegi wahan aur koi rahguzar
phir isi tarah jahan hoga muqabil paiham
saya-e-zulf ka aur jumbish-e-bazu ka safar
dusri baat bhi jhuTi hai ki dil jaanta hai
yan koi moD koi dasht koi ghat nahin
jis ke parde mein mera mah-e-rawan Dub sake
tum se chalti rahe ye rah, yunhi achchha hai
tum ne muD kar bhi na dekha to koi baat nahin
(4148) Peoples Rate This