KHusha Zamanat-e-gham
dayar-e-yar teri joshish-e-junun pe salam
mere watan tere daman-e-tar-tar ki KHair
rah-e-yaqin teri afshan-e-KHak-o-KHun pe salam
mere chaman tere zaKHmon ke lala-zar ki KHair
har ek KHana-e-viran ki tirgi pe salam
har ek KHak-basar, KHanuman-KHarab ki KHair
har ek kushta-e-na-haq ki KHamushi pe salam
har ek dida-e-pur-nam ki aab-o-tab ki KHair
rawan rahe ye riwayat, KHusha zamanat-e-gham
nashat-e-KHatm-e-gham-e-kaenat se pahle
har ek ke sath rahe daulat-e-amanat-e-gham
koi najat na pae najat se pahle
sakun mile na kabhi tere pa-figaron ko
jamal-e-KHun-e-sar-e-KHar ko nazar na lage
aman mile na kahin tere jaan-nisaron ko
jalal-e-farq-e-sar-e-dar ko nazar na lage
(2329) Peoples Rate This