KHurshid-e-mahshar Ki Lau
aaj ke din na puchho mere dosto
dur kitne hain KHushiyan manane ke din
khul ke hansne ke din git gane ke din
pyar karne ke din dil lagane ke din
aaj ke din na puchho mere dosto
zaKHm kitne abhi baKHt-e-bismil mein hain
dasht kitne abhi rah-e-manzil mein hain
tir kitne abhi dast-e-qatil mein hain
aaj ka din zubun hai mere dosto
aaj ke din to yun hai mere dosto
jaise dard-o-alam ke purane nishan
sab chale su-e-dil karwan karwan
hath sine pe rakkho to har ustuKHan
se uThe nala-e-al-aman al-aman
aaj ke din na puchho mere dosto
kab tumhaare lahu ke darida alam
farq-e-KHurshid-e-mahshar pe honge raqam
az-karan ta-karan kab tumhaare qadam
le ke uTThega wo bahr-e-KHun yam ba yam
jis mein dhul jaega aaj ke din ka gham
sare dard-o-alam sare jaur-o-sitam
dur kitni hai KHurshid-e-mahshar ki lau
aaj ke din na puchho mere dosto
(2301) Peoples Rate This