Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_092d5987b0ae8269c84c2bcf55105474, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHuda Wo Waqt Na Lae - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

KHuda Wo Waqt Na Lae

KHuda wo waqt na lae ki sogwar ho tu

sakun ki nind tujhe bhi haram ho jae

teri masarrat-e-paiham tamam ho jae

teri hayat tujhe talKH jam ho jae

ghamon se aaina-e-dil gudaz ho tera

hujum-e-yas se betab ho ke rah jae

wufur-e-dard se simab hoke rah jae

tera shabab faqat KHwab ho ke rah jae

ghurur-e-husn sarapa niyaz ho tera

tawil raaton mein tu bhi qarar ko tarse

teri nigah kisi gham-gusar ko tarse

KHizan-rasida tamanna bahaar ko tarse

koi jabin na tere sang-e-astan pe jhuke

ki jins-e-ijz-o-aqidat se tujh ko shad kare

fareb-e-wada-e-farda pe e'timad kare

KHuda wo waqt na lae ki tujh ko yaad aae

wo dil ki tere liye be-qarar ab bhi hai

wo aankh jis ko tera intizar ab bhi hai

(3196) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Wo Waqt Na Lae In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. KHuda Wo Waqt Na Lae is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem KHuda Wo Waqt Na Lae for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download KHuda Wo Waqt Na Lae in PDF.