Jis Roz Qaza Aaegi
kis tarah aaegi jis roz qaza aaegi
shayad is tarah ki jis taur kabhi awwal-e-shab
be-talab pahle-pahal marhamat-e-bosa-e-lab
jis se khulne lagen har samt tilismat ke dar
aur kahin dur se anjaan gulabon ki bahaar
yak-ba-yak sina-e-mahtab ko taDpane lage
shayad is tarah ki jis taur kabhi aaKHir-e-shab
nim-wa kaliyon se sarsabz sahar
yak-ba-yak hujra-e-mahbub mein lahrane lage
aur KHamosh darichon se ba-hangam-e-rahil
jhanjhanate hue taron ki sada aane lage
kis tarah aaegi jis roz qaza aaegi
shayad is tarah ki jis taur tah-e-nok-e-sinan
koi rag wahima-e-dard se chillane lage
aur qazzaq-e-sinan-dast ka dhundla saya
az-karan-ta-ba-karan dahr pe manDlane lage
kis tarah aaegi jis roz qaza aaegi
KHwah qatil ki tarah aae ki mahbub-sifat
dil se bas hogi yahi harf-e-widaa ki surat
lillahil-hamd ba-anjam-e-dil-e-dil-zadagan
kalma-e-shukr ba-nam-e-lab-e-shirin-dahanan
(2156) Peoples Rate This