Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e3b28d09edfa183a7a9d875d6b206635, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ishq Apne Mujrmon Ko Pa-ba-jaulan Le Chala - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Ishq Apne Mujrmon Ko Pa-ba-jaulan Le Chala

dar ki rassiyon ke gulu-band gardan mein pahne hue

gane wale har ek roz gate rahe

payalen beDiyon ki bajate hue

nachne wale dhumen machate rahe

hum na is saf mein the aur na us saf mein the

raste mein khaDe un ko takte rahe

rashk karte rahe

aur chup chap aansu bahate rahe

lauT kar aa ke dekha to phulon ka rang

jo kabhi surKH tha zard hi zard hai

apna pahlu TaTola to aisa laga

dil jahan tha wahan dard hi dard hai

gulu mein kabhi tauq ka wahima

kabhi panw mein raqs-e-zanjir

aur phir ek din ishq unhin ki tarah

rasan-dar-gulu pa-ba-jaulan hamein

usi qafile mein kashan le chala

(2106) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Apne Mujrmon Ko Pa-ba-jaulan Le Chala In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ishq Apne Mujrmon Ko Pa-ba-jaulan Le Chala is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ishq Apne Mujrmon Ko Pa-ba-jaulan Le Chala for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ishq Apne Mujrmon Ko Pa-ba-jaulan Le Chala in PDF.