Husn Aur Maut
jo phul sare gulistan mein sab se achchha ho
farogh-e-nur ho jis se faza-e-rangin mein
KHizan ke jaur-o-sitam ko na jis ne dekha ho
bahaar ne jise KHun-e-jigar se pala ho
wo ek phul samata hai chashm-e-gulchin mein
hazar phulon se aabaad bagh-e-hasti hai
ajal ki aankh faqat ek ko tarasti hai
kai dilon ki umidon ka jo sahaara ho
faza-e-dahr ki aaludgi se baala ho
jahan mein aa ke abhi jis ne kuchh na dekha ho
na qaht-e-aish-o-masarrat na, gham ki arzani
kanar-e-rahmat-e-haq mein use sulati hai
sukut-e-shab mein farishton ki marsiya-KHwani
tawaf karne ko subh-e-bahaar aati hai
saba chaDhane ko jannat ke phul lati hai
(3508) Peoples Rate This