Hum To Majbur-e-wafa Hain
tujh ko kitnon ka lahu chahiye ai arz-e-watan
jo tere aariz-e-be-rang ko gulnar karen
kitni aahon se kaleja tera ThanDa hoga
kitne aansu tere sahraon ko gulzar karen
tere aiwanon mein purze hue paiman kitne
kitne wade jo na aasuda-e-iqrar hue
kitni aankhon ko nazar kha gai bad-KHwahon ki
KHwab kitne teri shah-rahon mein sangsar hue
bala-kashan-e-mohabbat pe jo hua so hua
jo mujh pe guzri mat us se kaho, hua so hua
mabaada ho koi zalim tera gareban-gir
lahu ke dagh tu daman se dho, hua so hua
hum to majbur-e-wafa hain magar ai jaan-e-jahan
apne ushshaq se aise bhi koi karta hai
teri mahfil ko KHuda rakkhe abad tak qaem
hum to mehman hain ghaDi bhar ke hamara kya hai
(3537) Peoples Rate This