Hum Log
dil ke aiwan mein liye gul-shuda shamon ki qatar
nur-e-KHurshid se sahme hue uktae hue
husn-e-mahbub ke sayyal tasawwur ki tarah
apni tariki ko bhenche hue lipTae hue
ghayat-e-sud-o-ziyan surat-e-aghaz-o-maal
wahi be-sud-e-tajassus wahi bekar sawal
muzmahil saat-e-imroz ki be-rangi se
yaad-e-mazi se ghamin dahshat-e-farda se niDhaal
tishna afkar jo taskin nahin pate hain
soKHta ashk jo aankhon mein nahin aate hain
ek kaDa dard ki jo git mein Dhalta hi nahin
dil ke tarik shagafon se nikalta hi nahin
aur uljhi hui mauhum si darban ki talash
dasht o zindan ki hawas chaak-e-gireban ki talash
(2538) Peoples Rate This