Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7ad2ba5fd61c8142e8b31caa35a4b199, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hazar Karo Mere Tan Se - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Hazar Karo Mere Tan Se

saje to kaise saje qatl-e-am ka mela

kise lubhaega mere lahu ka wawaila

mere nazar badan mein lahu hi kitna hai

charagh ho koi raushan na koi jam bhare

na is se aag hi bhaDke na us se pyas bujhe

mere figar badan mein lahu hi kitna hai

magar wo zahr-e-halahal bhara hai nas nas mein

jise bhi chhedo har ek bund qahr-e-afi hai

har ek kashid hai sadiyon ke dard o hasrat ki

har ek mein mohr-ba-lab ghaiz o gham ki garmi hai

hazar karo mere tan se ye sam ka dariya hai

hazar karo ki mera tan wo chob-e-sahra hai

jise jalao to sehn-e-chaman mein dahkenge

bajae-sarw-o-saman meri haDDiyon ke babul

ise bikhera to dasht-o-daman mein bikhregi

bajae-mushk-e-saba meri jaan-e-zar ki dhul

hazar karo ki mera dil lahu ka pyasa hai

(2665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazar Karo Mere Tan Se In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Hazar Karo Mere Tan Se is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Hazar Karo Mere Tan Se for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Hazar Karo Mere Tan Se in PDF.