Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e679681aed150fd1809a1b414f761222, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hasina-e-KHayal Se - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Hasina-e-KHayal Se

mujhe de de

rasile honT masumana peshani hasin aankhen

ki main ek bar phir ranginiyon mein gharq ho jaun!

meri hasti ko teri ek nazar aaghosh mein le le

hamesha ke liye is dam mein mahfuz ho jaun

ziya-e-husn se zulmat-e-duniya mein na phir aaun

guzishta hasraton ke dagh mere dil se dhul jaen

main aane wale gham ki fikr se aazad ho jaun

mere mazi o mustaqbil sarasar mahw ho jaen

mujhe wo ek nazar ek jawedani si nazar de de

(2302) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasina-e-KHayal Se In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Hasina-e-KHayal Se is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Hasina-e-KHayal Se for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Hasina-e-KHayal Se in PDF.