Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e1380ad163a44042deb50efd03daed8d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ganw Ki SaDak - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Ganw Ki SaDak

ye des muflis-o-nadar kaj-kulahon ka

ye des be-zar-o-dinar baadshahon ka

ki jis ki KHak mein qudrat hai kimiyai ki

ye naiban-e-KHudawand-e-arz ka maskan

ye nek pak buzurgon ki ruh ka madfan

jahan pe chand sitaron ne jubba-sai ki

na jaane kitne zamanon se is ka har rasta

misal-e-KHana-e-be-KHanuman tha darbasta

KHusha ki aaj ba-fazl-e-KHuda wo din aaya

ki dast-e-ghaib ne is ghar ki dar-kushai ki

chune gae hain sabhi KHar is ki rahon se

suni gai hai bil-aKHir barahna-pai ki

(1893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ganw Ki SaDak In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ganw Ki SaDak is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ganw Ki SaDak for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ganw Ki SaDak in PDF.