Ek Shahr-ashob Ka Aaghaz
ab bazm-e-suKHan sohbat-e-lab-soKHtagan hai
ab halqa-e-mai taefa-e-be-talaban hai
ghar rahiye to virani-e-dil khane ko aawe
rah chaliye to har gam pe ghaugha-e-sagan hai
paiwand-e-rah-e-kucha-e-zar chashm-e-ghazalan
pabos-e-hawas afsar-e-shamshad-qadan hai
yan ahl-e-junun yak-ba-digar dast-o-gireban
wan jaish-e-hawas tegh-ba-kaf darpa-e-jaan hai
ab sahab-e-insaf hai KHud talib-e-insaf
mohr us ki hai mizan ba-dast-e-digran hai
hum sahal-talab kaun se farhad the lekin
ab shahr mein tere koi hum sa bhi kahan hai
(2315) Peoples Rate This