Ek Rah-guzar Par
wo jis ki did mein lakhon masarraten pinhan
wo hasan jis ki tamanna main jannaten pinhan
hazar fitne tah-e-pa-e-naz KHak-nashin
har ek nigah KHumar-e-shabab se rangin
shabab jis se taKHayyul pe bijliyan barsen
waqar jis ki rafaqat ko shoKHiyan tarsen
ada-e-laghzish-e-pa par qayamaten qurban
bayaz-ruKH pe sahar ki sabahaten qurban
siyah zulfon mein warafta nikhaton ka hujum
tawil raaton ki KHwabida rahaton ka hujum
wo aankh jis ke banaw pa KHaliq itrae
zaban-e-sher ko tarif karte sharm aae
wo honT faiz se jin ke bahaar lala-farosh
bahisht o kausar o tasnim o salsabil ba-dosh
gudaz jism qaba jis pe saj ke naz kare
daraaz qad jise sarw-e-sahi namaz kare
gharaz wo husn jo mohtaj-e-wasf-o-nam nahin
wo hasan jis ka tasawwur bashar ka kaam nahin
kisi zamane mein is rah-guzar se guzra tha
ba-sad ghurur o tajammul idhar se guzra tha
aur ab ye rah-guzar bhi hai dil-fareb o hasin
hai is ki KHak mein kaif-e-sharab-o-sher makin
hawa mein shoKHi-e-raftar ki adaen hain
faza mein narmi-e-guftar ki sadaen hain
gharaz wo husn ab is rah ka juzw-e-manzar hai
niyaz-e-ishq ko ek sajda-gah mayassar hai
(2547) Peoples Rate This