Ek Naghma Karbala-e-beirut Ke Liye
beirut nigar-e-bazm-e-jahan
beirut badil-e-bagh-e-jinan
bachchon ki hansti aankhon ke
jo aaine chakna-chur hue
ab un ke sitaron ki lau se
is shahr ki raaten raushan hain
aur raKHshan hai arz-e-labnan
beirut nigar-e-bazm-e-jahan
jo chehre lahu ke ghaze ki
zinat se siwa pur-nur hue
ab un ke rangin partaw se
is shahr ki galiyan raushan hain
aur taban hai arz-e-labnan
beirut nigar-e-bazm-e-jahan
har viran ghar, har ek khanDar
hum pa-e-qasr-e-dara hai
har ghazi rashk-e-askandar
har duKHtar ham-sar-e-laila hai
ye shahr azal se qaem hai
ye shahr abad tak daim hai
beirut nigar-e-bazm-e-jahan
beirut badil-e-bagh-e-jinan
(2612) Peoples Rate This