Dua
aaiye hath uThaen hum bhi
hum jinhen rasm-e-dua yaad nahin
hum jinhen soz-e-mohabbat ke siwa
koi but kai KHuda yaad nahin
aaiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
zahr-e-imroz mein shirini-e-farda bhar de
wo jinhen tab-e-giran-bari-e-ayyam nahin
un ki palkon pe shab o roz ko halka kar de
jin ki aankhon ko ruKH-e-subh ka yara bhi nahin
un ki raaton mein koi shama munawwar kar de
jin ke qadmon ko kisi rah ka sahaara bhi nahin
un ki nazron pe koi rah ujagar kar de
jin ka din pairwi-e-kizb-o-riya hai un ko
himmat-e-kufr mile jurat-e-tahqiq mile
jin ke sar muntazir-e-tegh-e-jafa hain un ko
dast-e-qatil ko jhaTak dene ki taufiq mile
ishq ka sirr-e-nihan jaan-e-tapan hai jis se
aaj iqrar karen aur tapish miT jae
harf-e-haq dil mein khaTakta hai jo kanTe ki tarah
aaj izhaar karen aur KHalish miT jae
(4326) Peoples Rate This