Dil-e-man Musafir-e-man
mere dil, mere musafir
hua phir se hukm sadir
ki watan-badar hon hum tum
den gali gali sadaen
karen ruKH nagar nagar, ka
ki suragh koi paen
kisi yar-e-nama-bar ka
har ek ajnabi se puchhen
jo pata tha apne ghar ka
sar-e-ku-e-na-shanasan
hamein din se raat karna
kabhi is se baat karna
kabhi us se baat karna
tumhein kya kahun ki kya hai
shab-e-gham buri bala hai
hamein ye bhi tha ghanimat
jo koi shumar hota
hamein kya bura tha marna
agar ek bar hota!
(2726) Peoples Rate This