Dard Aaega Dabe Panw
aur kuchh der mein jab phir mere tanha dil ko
fikr aa legi ki tanhai ka kya chaara kare
dard aaega dabe panw liye surKH charagh
wo jo ek dard dhaDakta hai kahin dil se pare
shola-e-dard jo pahlu mein lapak uTThega
dil ki diwar pe har naqsh damak uTThega
halqa-e-zulf kahin gosha-e-ruKHsar kahin
hijr ka dasht kahin gulshan-e-didar kahin
lutf ki baat kahin pyar ka iqrar kahin
dil se phir hogi meri baat ki ai dil ai dil
ye jo mahbub bana hai teri tanhai ka
ye to mehman hai ghaDi-bhar ka chala jaega
us se kab teri musibat ka mudawa hoga
mushtail ho ke abhi uTThenge wahshi sae
ye chala jaega rah jaenge baqi sae
raat-bhar jin se tera KHun-KHaraba hoga
jang Thahri hai koi khel nahin hai ai dil
dushman-e-jaan hain sabhi sare ke sare qatil
ye kaDi raat bhi ye sae bhi tanhai bhi
dard aur jang mein kuchh mel nahin hai ai dil
lao sulgao koi josh-e-ghazab ka angar
taish ki aatish-e-jarrar kahan hai lao
wo dahakta hua gulzar kahan hai lao
jis mein garmi bhi hai harkat bhi tawanai bhi
ho na ho apne qabile ka bhi koi lashkar
muntazir hoga andhere ki fasilon ke udhar
un ko sholon ke rajaz apna pata to denge
KHair hum tak wo na pahunche bhi sada to denge
dur kitni hai abhi subh bata to denge
(3417) Peoples Rate This