Baad-az-waqt
dil ko ehsas se do-chaar na kar dena tha
saz-e-KHwabida ko bedar na kar dena tha
apne masum tabassum ki farawani ko
wusat-e-did pe gul-bar na kar dena tha
shauq-e-majbur ko bas ek jhalak dikhla kar
waqif-e-lazzat-e-takrar na kar dena tha
chashm-e-mushtaq ki KHamosh tamannaon ko
yak-ba-yak mael-e-guftar na kar dena tha
jalwa-e-husn ko mastur hi rahne dete
hasrat-e-dil ko gunahgar na kar dena tha
(1817) Peoples Rate This