Ashgabad Ki Sham
jab suraj ne jate jate
ashghabad ke nile ufuq se
apne sunahri jam
mein Dhaali
surKHi-e-awwal-e-sham
aur ye jam
tumhaare samne rakh kar
tum se kya kalam
kaha parnam
uTTho
aur apne tan ki sej se uTh kar
ek shirin paigham
sabt karo is sham
kisi ke nam
kanar-e-jam
shayad tum ye man gain aur tum ne
apne lab-e-gulfam
kiye inam
kisi ke nam
kanar-e-jam
ya shayad
tum apne tan ki sej pe saj kar
thin yun mahw-e-aram
ki raste takte takte
bujh gai sham-e-jam
ashghabad ke nile ufuq par
ghaarat ho gai sham
(1802) Peoples Rate This