Ai Sham Mehrban Ho
ai sham mehrban ho
ai sham-e-shahryaran
hum pe bhi mehrban ho
dozaKHi dopahar sitam ki
be-sabab sitam ki
dopahar dard-o-ghaiz-o-gham ki
be-zaban dard-o-ghaiz-o-gham ki
is dozaKHi dopahar ke taziyane
aaj tan par dhanak ki surat
qaus-dar-qaus baT gae hain
zaKHm sab khul gae hain
dagh jaana tha chhaT gae hain
tere toshe mein kuchh to hoga
marham-e-dard ka do-shaala
tan ke us ang par uDha de
dard sab se siwa jahan ho
ai sham mehrban ho
ai sham-e-shaharyaran
hum pe mehrban ho
dozaKHi dasht nafraton ke
bedard nafraton ke
kirchiyan dida-e-hasad ki
KHas-o-KHashak ranjishon ke
itni sunsan shahrahen
itni gunjaan qatl-gahen
jin se aae hain hum guzar kar
aabla ban ke har qadam par
yun panw kaT gae hain
raste simaT gae hain
maKHmalen apne baadalon ki
aaj panw-tale bichha de
shafi-e-karb-e-rah-rawan ho
ai sham mehrban ho
ai mah-e-shab-e-nigaran
ai rafiq-e-dil-figaran
is sham ham-zaban ho
ai sham mehrban ho
ai sham mehrban ho
ai sham-e-shaharyaran
hum pe mehrban ho
(2049) Peoples Rate This