Ai Habib-e-ambar-dast!
kisi ke dast-e-inayat ne kunj-e-zindan mein
kiya hai aaj ajab dil-nawaz band-o-bast
mahak rahi hai faza zulf-e-yar ki surat
hawa hai garmi-e-KHushbu se is tarah sarmast
abhi abhi koi guzra hai gul-badan goya
kahin qarib se, gesu-ba-dosh, ghuncha-ba-dast
liye hai bu-e-rifaqat agar hawa-e-chaman
to lakh pahre biThaen qafas pe zulm-parast
hamesha sabz rahegi wo shaKH-e-mehr-o-wafa
ki jis ke sath bandhi hai dilon ki fath o shikast
ye sher-e-hafiz-e-shiraaz, ai saba! kahna
mile jo tujh se kahin wo habib-e-ambar-dast
KHalal-pazir buad har bina ki mai-bini
ba-juz bina-e-mohabbat ki KHali az-KHalal-ast
(2467) Peoples Rate This