Ai Dil-e-betab Thahar
tirgi hai ki unmaDti hi chali aati hai
shab ki rag rag se lahu phuT raha ho jaise
chal rahi hai kuchh is andaz se nabz-e-hasti
donon aalam ka nasha TuT raha ho jaise
raat ka garm lahu aur bhi bah jaane do
yahi tariki to hai ghaza-e-ruKHsar-e-sahar
subh hone hi ko hai ai dil-e-betab Thahar
abhi zanjir chhanakti hai pas-e-parda-e-saz
mutlaq-ul-hukm hai shiraaza-e-asbab abhi
saghar-e-nab mein aansu bhi Dhalak jate hain
laghzish-e-pa mein hai pabandIi-e-adab abhi
apne diwanon ko diwana to ban lene do
apne mai-KHanon ko mai-KHana to ban lene do
jald ye satwat-e-asbab bhi uTh jaegi
ye giran-bari-e-adab bhi uTh jaegi
KHwah zanjir chhanakti hi chhanakti hi rahe
(2810) Peoples Rate This