AaKHiri KHat
wo waqt meri jaan bahut dur nahin hai
jab dard se ruk jaengi sab zist ki rahen
aur had se guzar jaega andoh-e-nihani
thak jaengi tarsi hui nakaam nigahen
chhin jaenge mujh se mere aansu meri aahen
chhin jaegi mujh se meri be-kar jawani
shayad meri ulfat ko bahut yaad karogi
apne dil-e-masum ko nashad karogi
aaogi meri gor pe tum ashk bahane
nau-KHez bahaaron ke hasin phul chaDhane
shayad meri turbat ko bhi Thukra ke chalogi
shayad meri be-sud wafaon pe hansogi
is waz-e-karam ka bhi tumhein pas na hoga
lekin dil-e-nakaam ko ehsas na hoga
al-qissa maal-e-gham-e-ulfat pe hanso tum
ya ashk bahati raho fariyaad karo tum
mazi pe nadamat ho tumhein ya ki masarrat
KHamosh paDa soega wamanda-e-ulfat
(2349) Peoples Rate This