Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d177de20c56a955f6ac805e43fbbf645, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaj Shab Koi Nahin Hai - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Aaj Shab Koi Nahin Hai

aaj shab dil ke qarin koi nahin hai

aankh se dur tilismat ke dar wa hain kai

KHwab-dar-KHwab mahallat ke dar wa hain kai

aur makin koi nahin hai,

aaj shab dil ke qarin koi nahin hai

koi naghma, koi KHushbu, koi kafir-surat

koi ummid, koi aas musafir-surat

koi gham, koi kasak, koi shak, koi yaqin

koi nahin hai

aaj shab dil ke qarin koi nahin hai

tum agar ho, to mere pas ho ya dur ho tum

har ghaDi saya-gar-e-KHatir-e-ranjur ho tum

aur nahin ho to kahin koi nahin, koi nahin hai

aaj shab dil ke qarin koi nahin hai

(2213) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Shab Koi Nahin Hai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Aaj Shab Koi Nahin Hai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Aaj Shab Koi Nahin Hai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Aaj Shab Koi Nahin Hai in PDF.