Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_53e632cdfd674afe4d8c1ad59a3569cf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaj Ki Raat - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Aaj Ki Raat

aaj ki raat saz-e-dard na chheD

dukh se bharpur din tamam hue

aur kal ki KHabar kise malum

dosh-o-farda ki miT chuki hain hudud

ho na ho ab sahar kise malum

zindagi hech! lekin aaj ki raat

ezdiyyat hai mumkin aaj ki raat

aaj ki raat saz-e-dard na chheD

ab na dohra fasana-ha-e-alam

apni qismat pe sogwar na ho

fikr-e-farda utar de dil se

umr-e-rafta pe ashk-bar na ho

ahd-e-gham ki hikayaten mat puchh

ho chukin sab shikayaten mat puchh

aaj ki raat saz-e-dard na chheD

(3153) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ki Raat In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Aaj Ki Raat is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Aaj Ki Raat for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Aaj Ki Raat in PDF.