Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1b73248709e98f14dbf780c212aef24b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaj Bazar Mein Pa-ba-jaulan Chalo - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Aaj Bazar Mein Pa-ba-jaulan Chalo

chashm-nam jaan-e-shorida kafi nahin

tohmat-e-ishq-e-poshida kafi nahin

aaj bazar mein pa-ba-jaulan chalo

dast-afshan chalo mast o raqsan chalo

KHak-bar-sar chalo KHun-ba-daman chalo

rah takta hai sab shahr-e-jaanan chalo

hakim-e-shahr bhi majma-e-am bhi

tir-e-ilzam bhi sang-e-dushnam bhi

subh-e-nashad bhi roz-e-nakaam bhi

un ka dam-saz apne siwa kaun hai

shahr-e-jaanan mein ab ba-safa kaun hai

dast-e-qatil ke shayan raha kaun hai

raKHt-e-dil bandh lo dil-figaro chalo

phir hamin qatl ho aaen yaro chalo

(7812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Bazar Mein Pa-ba-jaulan Chalo In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Aaj Bazar Mein Pa-ba-jaulan Chalo is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Aaj Bazar Mein Pa-ba-jaulan Chalo for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Aaj Bazar Mein Pa-ba-jaulan Chalo in PDF.