Yaad-e-ghazal-chashman Zikr-e-saman-azaran
yaad-e-ghazal-chashman zikr-e-saman-azaran
jab chaha kar liya hai kunj-e-qafas bahaaran
aankhon mein dard-mandi honTon pe uzr-KHwahi
jaanana war aai sham-e-firaqyara
namus-e-jaan-o-dil ki bazi lagi thi warna
aasan na thi kuchh aisi rah-e-wafa-shiaran
mujrim ho KHwah koi rahta hai nasehon ka
ru-e-suKHan hamesha su-e-jigar-figaran
hai ab bhi waqt zahid tarmim-e-zuhd kar le
su-e-haram chala hai amboh-e-baada-KHwaran
shayad qarib pahunchi subh-e-visal hamdam
mauj-e-saba liye hai KHush-bu-e-KHush-kinaran
hai apni kisht-e-viran sarsabz is yaqin se
aaenge is taraf bhi ek roz abr-o-baran
aaegi 'faiz' ek din baad-e-bahaar le kar
taslim-e-mai-faroshan paigham-e-mai-gusaran
(3029) Peoples Rate This