Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_421f3993d8bec449623d795b8980d145, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tumhaari Yaad Ke Jab ZaKHm Bharne Lagte Hain - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Tumhaari Yaad Ke Jab ZaKHm Bharne Lagte Hain

tumhaari yaad ke jab zaKHm bharne lagte hain

kisi bahane tumhein yaad karne lagte hain

hadis-e-yar ke unwan nikharne lagte hain

to har harim mein gesu sanwarne lagte hain

har ajnabi hamein mahram dikhai deta hai

jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain

saba se karte hain ghurbat-nasib zikr-e-watan

to chashm-e-subh mein aansu ubharne lagte hain

wo jab bhi karte hain is nutq o lab ki baKHiya-gari

faza mein aur bhi naghme bikharne lagte hain

dar-e-qafas pe andhere ki mohr lagti hai

to 'faiz' dil mein sitare utarne lagte hain

(3109) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaari Yaad Ke Jab ZaKHm Bharne Lagte Hain In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Tumhaari Yaad Ke Jab ZaKHm Bharne Lagte Hain is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Tumhaari Yaad Ke Jab ZaKHm Bharne Lagte Hain for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Tumhaari Yaad Ke Jab ZaKHm Bharne Lagte Hain in PDF.