Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5f16b1dc389ca9b2e7f6578d0bc6f455, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Umid Tera Intizar Jab Se Hai - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Teri Umid Tera Intizar Jab Se Hai

teri umid tera intizar jab se hai

na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai

kisi ka dard ho karte hain tere nam raqam

gila hai jo bhi kisi se tere sabab se hai

hua hai jab se dil-e-na-subur be-qabu

kalam tujh se nazar ko baDe adab se hai

agar sharar hai to bhaDke jo phul hai to khile

tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai

kahan gae shab-e-furqat ke jagne wale

sitara-e-sahari ham-kalam kab se hai

(2659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Umid Tera Intizar Jab Se Hai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Teri Umid Tera Intizar Jab Se Hai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Teri Umid Tera Intizar Jab Se Hai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Teri Umid Tera Intizar Jab Se Hai in PDF.