Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b6b037ad1bc00cfcdabdb0ab58b32311, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Surat Jo Dil-nashin Ki Hai - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Teri Surat Jo Dil-nashin Ki Hai

teri surat jo dil-nashin ki hai

aashna shakl har hasin ki hai

husn se dil laga ke hasti ki

har ghaDi hum ne aatishin ki hai

subh-e-gul ho ki sham-e-mai-KHana

madh us ru-e-naznin ki hai

shaiKH se be-hiras milte hain

hum ne tauba abhi nahin ki hai

zikr-e-dozaKH bayan-e-hur o qusur

baat goya yahin kahin ki hai

ashk to kuchh bhi rang la na sake

KHun se tar aaj aastin ki hai

kaise manen haram ke sahl-pasand

rasm jo aashiqon ke din ki hai

'faiz' auj-e-KHayal se hum ne

aasman sindh ki zamin ki hai

(2721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Surat Jo Dil-nashin Ki Hai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Teri Surat Jo Dil-nashin Ki Hai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Teri Surat Jo Dil-nashin Ki Hai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Teri Surat Jo Dil-nashin Ki Hai in PDF.