Sitam Ki RasMein Bahut Thin Lekin Na Thi Teri Anjuman Se Pahle
sitam ki rasmen bahut thin lekin na thi teri anjuman se pahle
saza KHata-e-nazar se pahle itab jurm-e-suKHan se pahle
jo chal sako to chalo ki rah-e-wafa bahut muKHtasar hui hai
maqam hai ab koi na manzil faraaz-e-dar-o-rasan se pahle
nahin rahi ab junun ki zanjir par wo pahli ijara-dari
giraft karte hain karne wale KHirad pe diwana-pan se pahle
kare koi tegh ka nazara ab un ko ye bhi nahin gawara
ba-zid hai qatil ki jaan-e-bismil figar ho jism o tan se pahle
ghurur-e-sarw-o-saman se kah do ki phir wahi tajdar honge
jo KHar-o-KHas wali-e-chaman the uruj-e-sarw-o-suman se pahle
idhar taqaze hain maslahat ke udhar taqaza-e-dard-e-dil hai
zaban sambhaalen ki dil sambhaalen asir zikr-e-watan se pahle
(3538) Peoples Rate This