Sharah-e-bedardi-e-haalat Na Hone Pai
sharah-e-bedardi-e-haalat na hone pai
ab ke bhi dil ki mudaraat na hone pai
phir wahi wada jo iqrar na banne paya
phir wahi baat jo isbaat na hone pai
phir wo parwane jinhen izn-e-shahadat na mila
phir wo shamen ki jinhen raat na hone pai
phir wahi jaan-ba-labi lazzat-e-mai se pahle
phir wo mahfil jo KHarabaat na hone pai
phir dam-e-did rahe chashm o nazar did-talab
phir shab-e-wasl mulaqat na hone pai
phir wahan bab-e-asar jaaniye kab band hua
phir yahan KHatm munajat na hone pai
'faiz' sar par jo har ek roz qayamat guzri
ek bhi roz mukafat na hone pai
(1958) Peoples Rate This