Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ca78c6c40661cbb4e7007467eac83ca5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sham-e-firaq Ab Na Puchh Aai Aur Aa Ke Tal Gai - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Sham-e-firaq Ab Na Puchh Aai Aur Aa Ke Tal Gai

sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke Tal gai

dil tha ki phir bahal gaya jaan thi ki phir sambhal gai

bazm-e-KHayal mein tere husn ki shama jal gai

dard ka chand bujh gaya hijr ki raat Dhal gai

jab tujhe yaad kar liya subh mahak mahak uThi

jab tera gham jaga liya raat machal machal gai

dil se to har moamla kar ke chale the saf hum

kahne mein un ke samne baat badal badal gai

aaKHir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kya hue

rah gai kis jagah saba subh kidhar nikal gai

(3409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham-e-firaq Ab Na Puchh Aai Aur Aa Ke Tal Gai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Sham-e-firaq Ab Na Puchh Aai Aur Aa Ke Tal Gai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Sham-e-firaq Ab Na Puchh Aai Aur Aa Ke Tal Gai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Sham-e-firaq Ab Na Puchh Aai Aur Aa Ke Tal Gai in PDF.