Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fb56498598d628747810fb5164fe02a5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
ShaiKH Sahab Se Rasm-o-rah Na Ki - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

ShaiKH Sahab Se Rasm-o-rah Na Ki

shaiKH sahab se rasm-o-rah na ki

shukr hai zindagi tabah na ki

tujh ko dekha to ser-chashm hue

tujh ko chaha to aur chah na ki

tere dast-e-sitam ka ijz nahin

dil hi kafir tha jis ne aah na ki

the shab-e-hijr kaam aur bahut

hum ne fikr-e-dil-e-tabah na ki

kaun qatil bacha hai shahr mein 'faiz'

jis se yaron ne rasm-o-rah na ki

(4981) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShaiKH Sahab Se Rasm-o-rah Na Ki In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. ShaiKH Sahab Se Rasm-o-rah Na Ki is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem ShaiKH Sahab Se Rasm-o-rah Na Ki for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download ShaiKH Sahab Se Rasm-o-rah Na Ki in PDF.